jubba kisi ka aur na dastar dekhna
jubba kisī kā aur na dastār dekhnā
hai kaun muflisoñ kā taraf-dār dekhnā
tarz-e-suḳhan na shoḳhī-e-guftār dekhnā
insāniyat kā kaun hai ġham-ḳhvār dekhnā
ye arsa-e-hayāt bhī sūraj kī zad pe hai
lamhoñ ke ba.ad sāya-e-dīvār dekhnā
har zaad ye hayāt kā merī nazar meñ hai
merā safar hai sūrat-e-parkār dekhnā
dīvār-o-dar pe kaisī musallat hai ḳhāmushī
nairañgī-e-zarīya-e-iz.hār dekhnā
jo dars de rahe haiñ faroġh-e-kitāb kā
kitne vahī haiñ ilm se bezār dekhnā
manshūr jis kā usva-e-shabbīr ho 'ra.īs'
aisā hai kaun sāhab-e-kirdār dekhnā
jubba kisi ka aur na dastar dekhna
hai kaun muflison ka taraf-dar dekhna
tarz-e-suKHan na shoKHi-e-guftar dekhna
insaniyat ka kaun hai gham-KHwar dekhna
ye arsa-e-hayat bhi suraj ki zad pe hai
lamhon ke baad saya-e-diwar dekhna
har zad ye hayat ka meri nazar mein hai
mera safar hai surat-e-parkar dekhna
diwar-o-dar pe kaisi musallat hai KHamushi
nairangi-e-zariya-e-izhaar dekhna
jo dars de rahe hain farogh-e-kitab ka
kitne wahi hain ilm se bezar dekhna
manshur jis ka uswa-e-shabbir ho 'rais'
aisa hai kaun sahab-e-kirdar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.