juda bhi mujhse hua wo to pyar mera raha
judā bhī mujh se huā vo to pyaar merā rahā
bas us pe ek yahī iḳhtiyār merā rahā
jo dushmanoñ se milā thā to kyā ġharaz mujh ko
tamām-umr to vo shaḳhs yaar merā rahā
vafā-parast jo do-chār haiñ zamāne meñ
mirā nasīb ki un meñ shumār merā rahā
girā jo kaT ke badan se to jhuk ga.e sab log
baġhair taaj ke sar tājdār merā rahā
guzar ga.ī hai to ab kyā gila karūñ tujh se
magar ai zindagī tujh pe udhār merā rahā
juda bhi mujh se hua wo to pyar mera raha
bas us pe ek yahi iKHtiyar mera raha
jo dushmanon se mila tha to kya gharaz mujh ko
tamam-umr to wo shaKHs yar mera raha
wafa-parast jo do-chaar hain zamane mein
mera nasib ki un mein shumar mera raha
gira jo kaT ke badan se to jhuk gae sab log
baghair taj ke sar tajdar mera raha
guzar gai hai to ab kya gila karun tujh se
magar ai zindagi tujh pe udhaar mera raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.