juda hai tera saliqa hai tera Dhang alag
judā hai terā salīqa hai terā Dhang alag
lage hai saare manāzir meñ terā rang alag
ravāñ thā garm lahū āhanī parindoñ meñ
chhaḌī thī amn-pasandoñ meñ sard-jang alag
na.ī dishāoñ se masmūm āñdhiyāñ uTThīñ
to āsmāñ bhī badalne lagā thā rang alag
nishāt-e-fan to bahar-hāl apnī qismat hai
hazār apne masā.il haiñ un se jang alag
siyāh abr huuñ sūraj se chhīn lūñgā ziyā
karūñgā qaus-e-quzah ke maiñ rang rang alag
judā haiñ tund havāoñ ke ātishīñ naġhme
to pāniyoñ ke tarāne haiñ zer-e-sang alag
maiñ apnī shaam ko sub.h-e-hisāb kahtā huuñ
magar vo shaam jo guzrī hai tere sang alag
ġhazal ke dar pe baḌā izhdihām hai lekin
'nizām' naam hai jis kā vo ik malang alag
juda hai tera saliqa hai tera Dhang alag
lage hai sare manazir mein tera rang alag
rawan tha garm lahu aahani parindon mein
chhaDi thi amn-pasandon mein sard-jang alag
nai dishaon se masmum aandhiyan uTThin
to aasman bhi badalne laga tha rang alag
nishat-e-fan to bahar-haal apni qismat hai
hazar apne masail hain un se jang alag
siyah abr hun suraj se chhin lunga ziya
karunga qaus-e-quzah ke main rang rang alag
juda hain tund hawaon ke aatishin naghme
to paniyon ke tarane hain zer-e-sang alag
main apni sham ko subh-e-hisab kahta hun
magar wo sham jo guzri hai tere sang alag
ghazal ke dar pe baDa izhdiham hai lekin
'nizam' nam hai jis ka wo ek malang alag
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.