Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

juda ho kar wo humse hai juda kya

Shaayar Lakhnavi

juda ho kar wo humse hai juda kya

Shaayar Lakhnavi

MORE BYShaayar Lakhnavi

    judā ho kar vo ham se hai judā kyā

    samā.at sadā se fāsla kyā

    ḳhud apne ālam-e-hairat ko dekhe

    tirā muñh tak rahā hai aa.inā kyā

    añdherā ho gayā hai shahr bhar meñ

    koī dil jalte jalte bujh gayā kyā

    lahū koī qīmat nahīñ hai

    tire rañg-e-hinā ḳhuuñ bahā kyā

    charāġhoñ safeñ suunī paḌī haiñ

    hamāre ba.ad mahfil meñ rahā kyā

    diloñ meñ bhī utāro koī mahtāb

    zamīñ par khīñchte ho dā.era kyā

    diyā apnā bujhā do ḳhud 'shā.er'

    havā-e-nīm-shab aasrā kyā

    juda ho kar wo hum se hai juda kya

    samaat ka sada se fasla kya

    KHud apne aalam-e-hairat ko dekhe

    tera munh tak raha hai aaina kya

    andhera ho gaya hai shahr bhar mein

    koi dil jalte jalte bujh gaya kya

    lahu ki koi qimat hi nahin hai

    tere rang-e-hina ka KHun baha kya

    charaghon ki safen suni paDi hain

    hamare baad mahfil mein raha kya

    dilon mein bhi utaro koi mahtab

    zamin par khinchte ho daera kya

    diya apna bujha do KHud hi 'shaer'

    hawa-e-nim-shab ka aasra kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now