juda ho ke humse buton se mila dil
judā ho ke ham se butoñ se milā dil
bhalā dil bhalā dil bhalā dil bhalā dil
vo kyoñ ḳhush na hoñ le ke mujh se mirā dil
ki un kā to ham-jins hai be-vafā dil
nihāyat hī nāzuk hai Dar hai na TuuTe
dabā kar vo muTThī meñ kyoñ le gayā dil
hue said sab tere hī nāvak-afgan
humā baaz shāhīñ kabūtar anādil
na ho dil ke milne pe maġhrūr kāfir
kabhī to hamārā bhī thā āshnā dil
juda ho ke hum se buton se mila dil
bhala dil bhala dil bhala dil bhala dil
wo kyon KHush na hon le ke mujh se mera dil
ki un ka to ham-jins hai be-wafa dil
nihayat hi nazuk hai Dar hai na TuTe
daba kar wo muTThi mein kyon le gaya dil
hue said sab tere hi nawak-afgan
huma baz shahin kabutar anadil
na ho dil ke milne pe maghrur kafir
kabhi to hamara bhi tha aashna dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.