juda hote nahin aise bhi kuchh aazar hote hain
judā hote nahīñ aise bhī kuchh āzār hote haiñ
safar ke āḳhirī raste baḌe dushvār hote haiñ
jo chehre par likhī tahrīr paḌh lete haiñ pal bhar meñ
kuchh aise log haiñ misl-e-sitāra-bār hote haiñ
yahāñ jo bhī hai sab bātil nazar kā ek dhokā hai
to phir kis baat par ham yūñhī da.avedār hote haiñ
chaTTānoñ par hare patte kahīñ naġhma-sarā patthar
naved-e-zindagī ke ye hī to āsār hote haiñ
hamārī bhīgtī āñkheñ tumhāre muskurāte lab
mohabbat ke yahī lamhe baḌe sarshār hote haiñ
hamārī muskurāhaT to hamāre ġham chhupātī hai
hamāre rāz-dāñ ghar ke dar-o-dīvār hote haiñ
safar jitnā bhī tai paayā ye saarā khel lagtā hai
yuuñ lagtā hai sabhī kār-e-hunar be-kār hote haiñ
jo tum ne kar diyā so kar diyā dariyā meñ jaane do
phir is ke ba.ad to shikve gile be-kār hote haiñ
juda hote nahin aise bhi kuchh aazar hote hain
safar ke aaKHiri raste baDe dushwar hote hain
jo chehre par likhi tahrir paDh lete hain pal bhar mein
kuchh aise log hain misl-e-sitara-bar hote hain
yahan jo bhi hai sab baatil nazar ka ek dhoka hai
to phir kis baat par hum yunhi dawedar hote hain
chaTTanon par hare patte kahin naghma-sara patthar
nawed-e-zindagi ke ye hi to aasar hote hain
hamari bhigti aankhen tumhaare muskuraate lab
mohabbat ke yahi lamhe baDe sarshaar hote hain
hamari muskurahaT to hamare gham chhupati hai
hamare raaz-dan ghar ke dar-o-diwar hote hain
safar jitna bhi tai paya ye sara khel lagta hai
yun lagta hai sabhi kar-e-hunar be-kar hote hain
jo tum ne kar diya so kar diya dariya mein jaane do
phir is ke baad to shikwe gile be-kar hote hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.