juda shajar se kisi barg ko hawa na kare
judā shajar se kisī barg ko havā na kare
chaman meñ bād-e-muḳhālif chale ḳhudā na kare
tamām umr guzārī hai ġham kī rāhoñ meñ
darāz umr ho merī koī duā na kare
hazār zabt kā aadī hai dil mirā lekin
sitam kī bārisheñ had se koī sivā na kare
bahut hī talḳh haiñ yādeñ hamāre maazī kī
phir aa.e dard kā mausam vahī ḳhudā na kare
haiñ us ke makr-o-riyā se sabhī yahāñ vāqif
vafā-parastī kā da.avā vo bevafā na kare
shajar huuñ 'nasr' kisī be-giyāh sahrā kā
samar kā mujh se koī shaḳhs aasrā na kare
juda shajar se kisi barg ko hawa na kare
chaman mein baad-e-muKHalif chale KHuda na kare
tamam umr guzari hai gham ki rahon mein
daraaz umr ho meri koi dua na kare
hazar zabt ka aadi hai dil mera lekin
sitam ki barishen had se koi siwa na kare
bahut hi talKH hain yaaden hamare mazi ki
phir aae dard ka mausam wahi KHuda na kare
hain us ke makr-o-riya se sabhi yahan waqif
wafa-parasti ka dawa wo bewafa na kare
shajar hun 'nasr' kisi be-giyah sahra ka
samar ka mujh se koi shaKHs aasra na kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.