judai bewafai aur tanha raat ka gham
judā.ī bevafā.ī aur tanhā raat kā ġham
ye bas merā nahīñ hai ye hai saarī zaat kā ġham
na koī chāñd hai sāthī na taara hai na jugnū
na dekhā jā.egā mujh se ab aur is raat kā ġham
koī aa.e chalā jaa.e koī rūThe manā.e
nahīñ mahsūs hotā ab kisī bhī baat kā ġham
tujhe jitnī ḳhushī hai jītne par us se baḌh kar
manāyā jā rahā bastī meñ merī maat kā ġham
tū bārish meñ agar jab bhīgne chhat par na aa.e
to phir mahsūs hotā hai mujhe barsāt kā ġham
judai bewafai aur tanha raat ka gham
ye bas mera nahin hai ye hai sari zat ka gham
na koi chand hai sathi na tara hai na jugnu
na dekha jaega mujh se ab aur is raat ka gham
koi aae chala jae koi ruThe manae
nahin mahsus hota ab kisi bhi baat ka gham
tujhe jitni KHushi hai jitne par us se baDh kar
manaya ja raha basti mein meri mat ka gham
tu barish mein agar jab bhigne chhat par na aae
to phir mahsus hota hai mujhe barsat ka gham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.