judai bhi qarabat ki tarah thi
judā.ī bhī qarābat kī tarah thī
magar saa.at nahūsat kī tarah thī
lipaT ke so gayā maiñ zindagī se
ġhazab-nākī ināyat kī tarah thī
vo fāteh thā magar jazbe se aarī
hamārī haar nusrat kī tarah thī
hiran kī aañkh meñ dahshat thī zinda
magar ye chashm hairat kī tarah thī
guzārī thī jo saa.at saath tere
nazar meñ vo amānat kī tarah thī
yaqīñ karnā gumāñ ke dā.ere meñ
tabī.at us kī aurat kī tarah thī
abhī jo ḳhaak kī paivand sī hai
falak-bos ik imārat kī tarah thī
duā maañ kī muhāfiz thī nahīñ to
sa.ūbat bhī qayāmat kī tarah thī
judai bhi qarabat ki tarah thi
magar saat nahusat ki tarah thi
lipaT ke so gaya main zindagi se
ghazab-naki inayat ki tarah thi
wo fateh tha magar jazbe se aari
hamari haar nusrat ki tarah thi
hiran ki aankh mein dahshat thi zinda
magar ye chashm hairat ki tarah thi
guzari thi jo saat sath tere
nazar mein wo amanat ki tarah thi
yaqin karna guman ke daere mein
tabiat us ki aurat ki tarah thi
abhi jo KHak ki paiwand si hai
falak-bos ek imarat ki tarah thi
dua man ki muhafiz thi nahin to
saubat bhi qayamat ki tarah thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.