judai hi zarurat ho gai hai
judā.ī hī zarūrat ho ga.ī hai
suno talḳhī ke ik do ghūñT pī kar
mujhe jiine se raġhbat ho ga.ī hai
bahut rangīn thā terā fasāna
ab is meñ aur jiddat ho ga.ī hai
hameñ ma.atūb kar ke rakh diyā hai
bhalā aurat alāmat ho ga.ī hai
bhañvar meñ jab se paañv rakh diye haiñ
hameñ gardish kī aadat ho ga.ī hai
samundar to nahīñ thī zindagānī
jise kashtī kī hājat ho ga.ī hai
mirā dil bāñjh hotā jā rahā hai
tumhārī yaad ruḳhsat ho ga.ī hai
havā ne zaḳhm sī kar rakh diye jab
diye ko kyoñ shikāyat ho ga.ī hai
chalo duniyā ko ab āzād kar deñ
mukammal us kī iddat ho ga.ī hai
judai hi zarurat ho gai hai
suno talKHi ke ek do ghunT pi kar
mujhe jine se raghbat ho gai hai
bahut rangin tha tera fasana
ab is mein aur jiddat ho gai hai
hamein matub kar ke rakh diya hai
bhala aurat alamat ho gai hai
bhanwar mein jab se panw rakh diye hain
hamein gardish ki aadat ho gai hai
samundar to nahin thi zindagani
jise kashti ki hajat ho gai hai
mera dil banjh hota ja raha hai
tumhaari yaad ruKHsat ho gai hai
hawa ne zaKHm si kar rakh diye jab
diye ko kyon shikayat ho gai hai
chalo duniya ko ab aazad kar den
mukammal us ki iddat ho gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.