judai ka agarche marhala dushwar bhi tha
judā.ī kā agarche marhala dushvār bhī thā
nibhāne se ta'alluq dil zarā be-zār bhī thā
ajab har baar jis ke qurb se tanhā huī maiñ
mudāvā thā mirā vo shaḳhs aur āzār bhī thā
tire hī zikr meñ bechain rahtā hai mirā dil
tirī hī yaad se dil shaad dil afgār bhī thā
sajāyā thā jise palkoñ pe nāzoñ se vahī ḳhvāb
'sarāhat' merī āñkhoñ par zarā sā baar bhī thā
judai ka agarche marhala dushwar bhi tha
nibhane se ta'alluq dil zara be-zar bhi tha
ajab har bar jis ke qurb se tanha hui main
mudawa tha mera wo shaKHs aur aazar bhi tha
tere hi zikr mein bechain rahta hai mera dil
teri hi yaad se dil shad dil afgar bhi tha
sajaya tha jise palkon pe nazon se wahi KHwab
'sarahat' meri aankhon par zara sa bar bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.