judai mein teri aankhon ko jhil karte hue
judā.ī meñ tirī āñkhoñ ko jhiil karte hue
subūt zaa.e.a kiyā hai dalīl karte hue
maiñ apne aap se ḳhush bhī nahīñ huuñ jaane kyoñ
so ḳhush huuñ apne hī raste tavīl karte hue
na jaane yaad use aayā kyā achānak hī
gale lagā liyā mujh ko zalīl karte hue
kahīñ tirī hī tarah ho gayā na ho ye dil
so Dar rahā huuñ ab us ko vakīl karte hue
thakan safar kī to mahsūs hī nahīñ hotī
chalūñ tumheñ jo sar-e-rāh feel karte hue
judai mein teri aankhon ko jhil karte hue
subut zaea kiya hai dalil karte hue
main apne aap se KHush bhi nahin hun jaane kyon
so KHush hun apne hi raste tawil karte hue
na jaane yaad use aaya kya achanak hi
gale laga liya mujh ko zalil karte hue
kahin teri hi tarah ho gaya na ho ye dil
so Dar raha hun ab us ko wakil karte hue
thakan safar ki to mahsus hi nahin hoti
chalun tumhein jo sar-e-rah feel karte hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.