judai mujhko mare Dalti hai
judā.ī mujh ko maare Dāltī hai
duhā.ī mujh ko maare Dāltī hai
tumhāre ishq meñ duniyā hai dushman
ḳhudā.ī mujh ko maare Dāltī hai
hasīnoñ kī galī hai aur maiñ huuñ
gadā.ī mujh ko maare Dāltī hai
tirī jallād āñkhoñ kī sitamgar
safā.ī mujh ko maare Dāltī hai
asīrī meñ mazā thā fasl-e-gul kā
rihā.ī mujh ko maare Dāltī hai
ḳhafā haiñ vo duāoñ ke asar par
rasā.ī mujh ko maare Dāltī hai
kiye detā hai qātil zab.h 'muztar'
kalā.ī mujh ko maare Dāltī hai
judai mujh ko mare Dalti hai
duhai mujh ko mare Dalti hai
tumhaare ishq mein duniya hai dushman
KHudai mujh ko mare Dalti hai
hasinon ki gali hai aur main hun
gadai mujh ko mare Dalti hai
teri jallad aankhon ki sitamgar
safai mujh ko mare Dalti hai
asiri mein maza tha fasl-e-gul ka
rihai mujh ko mare Dalti hai
KHafa hain wo duaon ke asar par
rasai mujh ko mare Dalti hai
kiye deta hai qatil zabh 'muztar'
kalai mujh ko mare Dalti hai
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 212)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.