judai ruh ko jab ishtial deti hai
judā.ī ruuh ko jab ishti.āl detī hai
ḳhunuk havā bhī badan ko ubaal detī hai
agar ho vaqt kā ehsās zindagānī meñ
har ek saañs hameñ ik savāl detī hai
usī ke dam se to yādoñ ke zaḳhm taaza haiñ
yahī sabā hai jo har ghar kā haal detī hai
fazā meñ rang tirī ḳhushbuoñ ke phailā ke
dukhe diloñ ko sabā bhī malāl detī hai
raqābatoñ ke sabab se jo dhund chhā jaa.e
tirī nigāh vo manzar khañgāl detī hai
kudāl pahlī chalā kar rivāyatoñ pe 'nazar'
kiyā vo kaam ki duniyā misāl detī hai
judai ruh ko jab ishtial deti hai
KHunuk hawa bhi badan ko ubaal deti hai
agar ho waqt ka ehsas zindagani mein
har ek sans hamein ek sawal deti hai
usi ke dam se to yaadon ke zaKHm taza hain
yahi saba hai jo har ghar ka haal deti hai
faza mein rang teri KHushbuon ke phaila ke
dukhe dilon ko saba bhi malal deti hai
raqabaton ke sabab se jo dhund chha jae
teri nigah wo manzar khangal deti hai
kudal pahli chala kar riwayaton pe 'nazar'
kiya wo kaam ki duniya misal deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.