judaiyon se jo paiman kar raha hun main
judā.iyoñ se jo paimān kar rahā huuñ maiñ
ye mushkileñ tirī āsān kar rahā huuñ maiñ
bilā-javāz lagā.ī nahīñ hai ḳhud ko aag
bujhe charāġh pe ehsān kar rahā huuñ maiñ
zarā bhī ḳhaak uḌaa.ī nahīñ hai vahshat meñ
guzarne vāloñ ko hairān kar rahā huuñ maiñ
lagā rahā huuñ jo maiñ baar baar dil se tujhe
ye apne jism ko gul-dān kar rahā huuñ meñ
mujhe ḳhabar thī judā.ī meñ fā.eda hai magar
sabhī ne samjhā ki nuqsān kar rahā huuñ maiñ
hai mere paas ik achchhī ḳhabar barā-e-junūñ
zarā ruko koī elaan kar rahā huuñ maiñ
javāz koī nahīñ dūsrī mohabbat kā
ye aur baat ki 'mannān' kar rahā huuñ maiñ
judaiyon se jo paiman kar raha hun main
ye mushkilen teri aasan kar raha hun main
bila-jawaz lagai nahin hai KHud ko aag
bujhe charagh pe ehsan kar raha hun main
zara bhi KHak uDai nahin hai wahshat mein
guzarne walon ko hairan kar raha hun main
laga raha hun jo main bar bar dil se tujhe
ye apne jism ko gul-dan kar raha hun mein
mujhe KHabar thi judai mein faeda hai magar
sabhi ne samjha ki nuqsan kar raha hun main
hai mere pas ek achchhi KHabar bara-e-junun
zara ruko koi elan kar raha hun main
jawaz koi nahin dusri mohabbat ka
ye aur baat ki 'mannan' kar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.