juDe hue hain pari-KHane mere kaghaz se
juḌe hue haiñ parī-ḳhāne mere kāġhaz se
jo uTh rahe haiñ ye afsāne mere kāġhaz se
katartā rahtā hai miqrāz-e-chashm se mujh ko
banānā kyā hai use jaane mere kāġhaz se
qalam ne nok-e-alam kyā rakhī ba-chashm-e-dil
chhalakne lag ga.e paimāne mere kāġhaz se
raqam karūñ bhī to kaise maiñ dāstān-e-vafā
hurūf phirte haiñ begāne mere kāġhaz se
abhī rakhī bhī nahīñ lau charāġh par maiñ ne
lipaT ga.e ka.ī parvāne mere kāġhaz se
kudāl-e-ḳhāma se botā huuñ maiñ junūñ 'sārim'
so ugte rahte haiñ dīvāne mere kāġhaz se
juDe hue hain pari-KHane mere kaghaz se
jo uTh rahe hain ye afsane mere kaghaz se
katarta rahta hai miqraaz-e-chashm se mujh ko
banana kya hai use jaane mere kaghaz se
qalam ne nok-e-alam kya rakhi ba-chashm-e-dil
chhalakne lag gae paimane mere kaghaz se
raqam karun bhi to kaise main dastan-e-wafa
huruf phirte hain begane mere kaghaz se
abhi rakhi bhi nahin lau charagh par main ne
lipaT gae kai parwane mere kaghaz se
kudal-e-KHama se bota hun main junun 'sarim'
so ugte rahte hain diwane mere kaghaz se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.