jugnuon ka harf meri aankh mein utra na tha
jugnuoñ kā harf merī aañkh meñ utrā na thā
raat kā andhā safar thā paañv meñ rasta na thā
zard lamhoñ kī thakan meñ āñganoñ kī aas thī
raat thī jañgal kī sar par chāñd bhī niklā na thā
aaj tanhā.ī ke ujḌe moḌ par ThiTkā huā
sochtā huuñ maiñ ne us ko TuuT kar chāhā na thā
us ke ā.īne se jis dam raat kā pahra uThā
be-nishāñ āvāz thī jis meñ koī lahja na thā
raat kā pichhlā pahar thā jab shajar kaaTā gayā
niiñd aisī thī ki panchhī koī bhī chīḳhā na thā
jugnuon ka harf meri aankh mein utra na tha
raat ka andha safar tha panw mein rasta na tha
zard lamhon ki thakan mein aanganon ki aas thi
raat thi jangal ki sar par chand bhi nikla na tha
aaj tanhai ke ujDe moD par ThiTka hua
sochta hun main ne us ko TuT kar chaha na tha
us ke aaine se jis dam raat ka pahra uTha
be-nishan aawaz thi jis mein koi lahja na tha
raat ka pichhla pahar tha jab shajar kaTa gaya
nind aisi thi ki panchhi koi bhi chiKHa na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.