jugnu aur sitare kya mahtab shikasta-haal
jugnū aur sitāre kyā mahtāb shikasta-hāl
diye kī lau ūñchī rakhne ke ḳhvāb shikasta-hāl
ek usī naġhme kī dhun meñ jis kī talab hai dil ko
chuTkī lahū meñ tar dekheñ mizrāb shikasta-hāl
hameñ to apnī ḳhush-ahvālī ek nahīñ bhātī
ye kyā ham ḳhush-hāl raheñ ahbāb shikasta-hāl
kartab ke is daur ne ham ko diye haiñ vo kirdār
rustam chāroñ ḳhāne chit sohrāb shikasta-hāl
jab jab ġhaur kareñ duniyā par ġhaur kā har anjām
andar andar kar jaa.e 'shādāb' shikasta haal
jugnu aur sitare kya mahtab shikasta-haal
diye ki lau unchi rakhne ke KHwab shikasta-haal
ek usi naghme ki dhun mein jis ki talab hai dil ko
chuTki lahu mein tar dekhen mizrab shikasta-haal
hamein to apni KHush-ahwali ek nahin bhati
ye kya hum KHush-haal rahen ahbab shikasta-haal
kartab ke is daur ne hum ko diye hain wo kirdar
rustam chaaron KHane chit sohrab shikasta-haal
jab jab ghaur karen duniya par ghaur ka har anjam
andar andar kar jae 'shadab' shikasta haal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.