jugnu guhar charagh ujale to de gaya
jugnū guhar charāġh ujāle to de gayā
vo ḳhud ko DhūñDne ke havāle to de gayā
ab is se baḌh ke kyā ho virāsat faqīr kī
bachchoñ ko apnī bhiik ke pyāle to de gayā
ab merī soch saa.e kī sūrat hai us ke gird
maiñ bujh ke apne chāñd ko haale to de gayā
shāyad ki fasl-e-sañg-zanī kuchh qarīb hai
vo khelne ko barf ke gaale to de gayā
ahl-e-talab pe us ke liye farz hai duā
ḳhairāt meñ vo chand nivāle to de gayā
'mohsin' use qabā kī zarūrat na thī magar
duniyā ko roz-o-shab ke dushāle to de gayā
jugnu guhar charagh ujale to de gaya
wo KHud ko DhunDne ke hawale to de gaya
ab is se baDh ke kya ho wirasat faqir ki
bachchon ko apni bhik ke pyale to de gaya
ab meri soch sae ki surat hai us ke gird
main bujh ke apne chand ko haale to de gaya
shayad ki fasl-e-sang-zani kuchh qarib hai
wo khelne ko barf ke gale to de gaya
ahl-e-talab pe us ke liye farz hai dua
KHairaat mein wo chand niwale to de gaya
'mohsin' use qaba ki zarurat na thi magar
duniya ko roz-o-shab ke dushaale to de gaya
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 885)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.