jugnu sa koi aansu palkon pe chamak jata
jugnū sā koī aañsū palkoñ pe chamak jaatā
yādoñ kā ye lamha bhī phūloñ sā mahak jaatā
be-rangiyāñ lipTī haiñ is ahd ke manzar meñ
dāman jo na bantā gul har dasht jhaTak jaatā
patthar ke badan meñ bhī vo ruuh jo dauḌātā
ā.īnoñ kī āñkhoñ se har zaḳhm Tapak jaatā
andar kī sadāoñ ne har baar sañbhālā hai
duniyā kī agar suntā maiñ kab kā bhaTak jaatā
jugnu sa koi aansu palkon pe chamak jata
yaadon ka ye lamha bhi phulon sa mahak jata
be-rangiyan lipTi hain is ahd ke manzar mein
daman jo na banta gul har dasht jhaTak jata
patthar ke badan mein bhi wo ruh jo dauData
aainon ki aankhon se har zaKHm Tapak jata
andar ki sadaon ne har bar sanbhaala hai
duniya ki agar sunta main kab ka bhaTak jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.