jugnuon par ye raat bhaari hai
jugnuoñ par ye raat bhārī hai
ab sitāroñ pe zimme-dārī hai
nafratoñ kā hujūm phailā hai
saltanat ye kahāñ hamārī hai
TuuT ke thak gayā huuñ maiñ lekin
hausloñ kī uḌaan jaarī hai
ham ne kāñdhoñ pe din uThāyā hai
raat āñkhoñ meñ hī guzārī hai
sab pe qudrat ne qahr Dhāyā hai
sab ne phir aartī utārī hai
jugnuon par ye raat bhaari hai
ab sitaron pe zimme-dari hai
nafraton ka hujum phaila hai
saltanat ye kahan hamari hai
TuT ke thak gaya hun main lekin
hauslon ki uDan jari hai
hum ne kandhon pe din uThaya hai
raat aankhon mein hi guzari hai
sab pe qudrat ne qahr Dhaya hai
sab ne phir aarti utari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.