jumbish-e-dil nahin beja tu kidhar bhula hai
jumbish-e-dil nahin beja tu kidhar bhula hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim
jumbish-e-dil nahīñ bejā tū kidhar bhūlā hai
koī laḌkā ise gahvāra samajh jhūlā hai
ḳhuun tū ne jo bahāyā hai siyah-baḳhtoñ kā
tere kūche meñ ajab shaam o shafaq phūlā hai
ḳhuub rindoñ ne uḌaa.e haiñ maze duniyā ke
hiiz ko bakr hai mardoñ kī vo madḳhūlā hai
behtar hai ishq-e-majāzī tujhe bekārī se
jab talak ishq-e-haqīqī ho ye mashġhūlā hai
pā-e-himmat to mirā lañg nahīñ hai 'hātim'
go mire kaam ke ta.iiñ dast-e-falak luulā hai
jumbish-e-dil nahin beja tu kidhar bhula hai
koi laDka ise gahwara samajh jhula hai
KHun tu ne jo bahaya hai siyah-baKHton ka
tere kuche mein ajab sham o shafaq phula hai
KHub rindon ne uDae hain maze duniya ke
hiz ko bakr hai mardon ki wo madKHula hai
behtar hai ishq-e-majazi tujhe bekari se
jab talak ishq-e-haqiqi ho ye mashghula hai
pa-e-himmat to mera lang nahin hai 'hatim'
go mere kaam ke tain dast-e-falak lula hai
- Book : Diwan-e-Zadah (Pg. 306)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.