junub o mashriq o maghrib tere shumal tera
junūb o mashriq o maġhrib tire shumāl tirā
maiñ kyā karūñ mire chāroñ taraf hai jaal tirā
jahān-e-sañg-sifat se ye kaisī ummīdeñ
karegā kaun yahāñ aa.ine malāl tirā
ye log jaane kidhar se javāb le aa.e
chhupāyā ḳhud se bhī maiñ ne har ik savāl tirā
junub o mashriq o maghrib tere shumal tera
main kya karun mere chaaron taraf hai jal tera
jahan-e-sang-sifat se ye kaisi ummiden
karega kaun yahan aaine malal tera
ye log jaane kidhar se jawab le aae
chhupaya KHud se bhi main ne har ek sawal tera
- Book : Paniyon Se Alag (Pg. 43)
- Author : Shamsheer Haider
- Publication : Rumail House of Publication (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.