junun bigDi hui haalat ke banne ka guman kab tak
junūñ bigḌī huī hālāt ke banñe kā gumāñ kab tak
girebāñ jā chukā kab kā raheñgī dhajjiyāñ kab tak
mohabbat-nā-shanāsoñ meñ mohabbat kī fuġhāñ kab tak
na jaane kaT ke dil se kaam degī ab zabāñ kab tak
tahayya kar chuke jis bevafā ko bhuul jaane kā
usī kī yaad āḳhir dil meñ legī chuTkiyāñ kab tak
idhar tinkā uThāyā aur udhar phir barq ne pūchhā
ki phir tayyār ho jā.egā ban kar āshiyāñ kab tak
khule kuchh paikar-e-ummīd yā ye vahm miT jaa.e
nazar ā.eñgī dhuñdlī dhuñdlī sī parchhā.iyāñ kab tak
tumhārī aas par kis kis tarah dil ko na samjhāyā
magar ye ehtimām-e-ḳhud-farebī mehrbāñ kab tak
'razā' kab se yahī fariyād hai bāġh-e-tamannā kī
mujhe luuTe chalā jā.egā merā bāġhbāñ kab tak
junun bigDi hui haalat ke banne ka guman kab tak
gireban ja chuka kab ka rahengi dhajjiyan kab tak
mohabbat-na-shanason mein mohabbat ki fughan kab tak
na jaane kaT ke dil se kaam degi ab zaban kab tak
tahayya kar chuke jis bewafa ko bhul jaane ka
usi ki yaad aaKHir dil mein legi chuTkiyan kab tak
idhar tinka uThaya aur udhar phir barq ne puchha
ki phir tayyar ho jaega ban kar aashiyan kab tak
khule kuchh paikar-e-ummid ya ye wahm miT jae
nazar aaengi dhundli dhundli si parchhaiyan kab tak
tumhaari aas par kis kis tarah dil ko na samjhaya
magar ye ehtimam-e-KHud-farebi mehrban kab tak
'raza' kab se yahi fariyaad hai bagh-e-tamanna ki
mujhe luTe chala jaega mera baghban kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.