junun-e-be-sar-o-saman baDe shakeb mein hai
junūn-e-be-sar-o-sāmāñ baḌe shakeb meñ hai
ki taar ab koī dāman meñ hai na jeb meñ hai
muāshra hai ye qaa.em ba-vasf-e-nādānī
har ek shaḳhs kisī shaḳhs ke fareb meñ hai
bulandiyoñ pe chaḌhāyā hai zor se paanī
kiyā na dhyān ki bastī bhī ik nasheb meñ hai
ḳharāb jab se huī bāġhbān kī niyyat
shamīm-o-zā.iqa kam-kam gulāb-o-seb meñ hai
jamāl-e-zāt rahīn-e-takallufāt nahīñ
ye kam-numā hai jo poshāk dīda-zeb meñ hai
junun-e-be-sar-o-saman baDe shakeb mein hai
ki tar ab koi daman mein hai na jeb mein hai
muashra hai ye qaem ba-wasf-e-nadani
har ek shaKHs kisi shaKHs ke fareb mein hai
bulandiyon pe chaDhaya hai zor se pani
kiya na dhyan ki basti bhi ek nasheb mein hai
KHarab jab se hui baghban ki niyyat
shamim-o-zaiqa kam-kam gulab-o-seb mein hai
jamal-e-zat rahin-e-takallufat nahin
ye kam-numa hai jo poshak dida-zeb mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.