junun-e-dil ko kisi ka bhi eatibar nahin
junun-e-dil ko kisi ka bhi eatibar nahin
Asad Ahmad Mujaddadi Asad
MORE BYAsad Ahmad Mujaddadi Asad
junūn-e-dil ko kisī kā bhī e.atibār nahīñ
huuñ be-qarār magar ḳhvāhish-e-qarār nahīñ
hai kā.enāt meñ ham se faroġh-e-rang-e-bahār
magar hayāt meñ apnī zarā bahār nahīñ
na chheḌ pyaar ke naġhme ai andalīb-e-chaman
ki rang gulshan-e-hastī kā sāzgār nahīñ
tufail hai ye unhīñ kā ki ham ko tohfe meñ
vo be-hisāb mile ġham ki kuchh shumār nahīñ
'asad' khulā na kabhī rāz-e-zindagī ab tak
ye uqda khole koī aisā hoshiyār nahīñ
junun-e-dil ko kisi ka bhi eatibar nahin
hun be-qarar magar KHwahish-e-qarar nahin
hai kaenat mein hum se farogh-e-rang-e-bahaar
magar hayat mein apni zara bahaar nahin
na chheD pyar ke naghme ai andalib-e-chaman
ki rang gulshan-e-hasti ka sazgar nahin
tufail hai ye unhin ka ki hum ko tohfe mein
wo be-hisab mile gham ki kuchh shumar nahin
'asad' khula na kabhi raaz-e-zindagi ab tak
ye uqda khole koi aisa hoshiyar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.