Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun-e-ishq jaanan aql ke maron se kya kahta

Khalid Meenai

junun-e-ishq jaanan aql ke maron se kya kahta

Khalid Meenai

MORE BYKhalid Meenai

    junūn-e-ishq jānāñ aql ke māroñ se kyā kahtā

    in asnām-e-ḳhayālī ke parastāroñ se kyā kahtā

    mohabbat kholtī hai raaz hushyārī-o-mastī ke

    na khulte ye to maiñ in ke talab-gāroñ se kyā kahtā

    jafā se us maqsad dil jigar pās-e-ḳhātir thā

    vafā kartā to ġham ke nāz-bardāroñ se kyā kahtā

    sunā kartā sadā bāteñ agar buqrāt-o-luqmāñ

    to phir us bazm-e-hastī ke tarah-dāroñ se kyā kahtā

    jahāñ bar-dosh the har-chand jalve mehr-e-tābāñ ke

    yahīñ ruktā to shab ke chāñd aur tāroñ se kyā kahtā

    jo rindoñ meñ na jaatā mahfil-e-va.az-o-nasīhat se

    to chashm-e-mai-gūñ mast-e-nāz mah-pāroñ se kyā kahtā

    junun-e-ishq jaanan aql ke maron se kya kahta

    in asnam-e-KHayali ke parastaron se kya kahta

    mohabbat kholti hai raaz hushyari-o-masti ke

    na khulte ye to main in ke talab-garon se kya kahta

    jafa se us ka maqsad dil jigar ka pas-e-KHatir tha

    wafa karta to gham ke naz-bardaron se kya kahta

    suna karta sada baaten agar buqraat-o-luqman ki

    to phir us bazm-e-hasti ke tarah-daron se kya kahta

    jahan bar-dosh the har-chand jalwe mehr-e-taban ke

    yahin rukta to shab ke chand aur taron se kya kahta

    jo rindon mein na jata mahfil-e-waz-o-nasihat se

    to chashm-e-mai-gun mast-e-naz mah-paron se kya kahta

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now