junun-e-ishq jise sar-phira bana dega
junūn-e-ishq jise sar-phirā banā degā
pahāḌ kaaT ke vo rāsta banā degā
ḳhumār-e-husn salāmat rakhe ḳhudā us kā
jahāñ vo chāhe vahāñ mai-kadā banā degā
usī ke qabza-e-qudrat meñ haiñ sabhī ke dil
vo jis ko chāhe use pārsā banā degā
ghirā huā mujhe dekhegā jab nadāmat meñ
vo merī aah ko harf-e-duā banā degā
mirā zamīr hī ab merā rahnumā Thahrā
ye har maqām pe mujh ko baḌā banā degā
jo dekh legā tumheñ koī manchalā mausam
tumhārī zulf se kaalī ghaTā banā degā
tū dūsroñ se hai bartar na ye samajh 'rahbar'
ye e'tibār tujhe khokhlā banā degā
junun-e-ishq jise sar-phira bana dega
pahaD kaT ke wo rasta bana dega
KHumar-e-husn salamat rakhe KHuda us ka
jahan wo chahe wahan mai-kada bana dega
usi ke qabza-e-qudrat mein hain sabhi ke dil
wo jis ko chahe use parsa bana dega
ghira hua mujhe dekhega jab nadamat mein
wo meri aah ko harf-e-dua bana dega
mera zamir hi ab mera rahnuma Thahra
ye har maqam pe mujh ko baDa bana dega
jo dekh lega tumhein koi manchala mausam
tumhaari zulf se kali ghaTa bana dega
tu dusron se hai bartar na ye samajh 'rahbar'
ye e'tibar tujhe khokhla bana dega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.