junun-e-ishq ye kya rang-e-mahfil hai jahan main hun
junun-e-ishq ye kya rang-e-mahfil hai jahan main hun
Kaif Moradaabadi
MORE BYKaif Moradaabadi
junūn-e-ishq ye kyā rañg-e-mahfil hai jahāñ maiñ huuñ
jo aalam hai mirā hī ālam-e-dil hai jahāñ maiñ huuñ
yahāñ tak kār-farmā jazb-e-kāmil hai jahāñ maiñ huuñ
ki farq-e-zāhir-o-bātin bhī mushkil hai jahāñ maiñ huuñ
sivā-e-husn koī bhī nahīñ hai maqsad-e-hastī
sivā-e-ishq har ehsās-e-bātil hai jahāñ maiñ huuñ
junūn-e-ġham kā shikva kis se kiije kis tarah kiije
tajallī ḳhud sharīk-e-ālam-e-dil hai jahāñ maiñ huuñ
kuchh aisī be-niyāzī sī talāsh-e-chāragar se hai
yahāñ har rañj goyā rāhat-e-dil hai jahāñ maiñ huuñ
mujhe tūfān to uThte hue mahsūs hote haiñ
ba-zāhir koī dariyā hai na sāhil hai jahāñ maiñ huuñ
shu.ūr-e-har-haqīqat munhasir dīvāngī par hai
magar dīvāngī ek kār-e-mushkil hai jahāñ maiñ huuñ
baqā tarġhīb detī hai mujhe shauq-e-farāvāñ kī
fanā minjumla-e-āsār-e-manzil hai jahāñ maiñ huuñ
liye jaatā hai koī 'kaif' varna ye haqīqat hai
yahāñ to do qadam chalnā bhī mushkil hai jahāñ maiñ huuñ
junun-e-ishq ye kya rang-e-mahfil hai jahan main hun
jo aalam hai mera hi aalam-e-dil hai jahan main hun
yahan tak kar-farma jazb-e-kaamil hai jahan main hun
ki farq-e-zahir-o-baatin bhi mushkil hai jahan main hun
siwa-e-husn koi bhi nahin hai maqsad-e-hasti
siwa-e-ishq har ehsas-e-baatil hai jahan main hun
junun-e-gham ka shikwa kis se kije kis tarah kije
tajalli KHud sharik-e-alam-e-dil hai jahan main hun
kuchh aisi be-niyazi si talash-e-chaaragar se hai
yahan har ranj goya rahat-e-dil hai jahan main hun
mujhe tufan to uThte hue mahsus hote hain
ba-zahir koi dariya hai na sahil hai jahan main hun
shuur-e-har-haqiqat munhasir diwangi par hai
magar diwangi ek kar-e-mushkil hai jahan main hun
baqa targhib deti hai mujhe shauq-e-farawan ki
fana minjumla-e-asar-e-manzil hai jahan main hun
liye jata hai koi 'kaif' warna ye haqiqat hai
yahan to do qadam chalna bhi mushkil hai jahan main hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.