junun-e-shauq ki sar-gardiyan kahan tak hain
junūn-e-shauq kī sar-gardiyāñ kahāñ tak haiñ
fareb-e-husn tirī bastiyāñ kahāñ tak haiñ
kisī kī yaad hai dil meñ na koī aks-e-jamīl
zahe-nasīb ye mahrūmiyāñ kahāñ tak haiñ
kaThin hai zabt kahe to hai ḳhauf-e-rusvā.ī
dil-e-ġharīb kī majbūriyāñ kahāñ tak haiñ
use ye shauq sahārā ho umr bhar merā
mujhe ye fikr ye hamdardiyāñ kahāñ tak haiñ
ye qahr-qahr nigāheñ ye zahr-zahr suḳhan
maiñ sochtā huuñ tirī talḳhiyāñ kahāñ tak haiñ
laboñ pe giit vafā ke diloñ meñ buġhz-o-inād
urūj-e-dahr kī ye pastiyāñ kahāñ tak haiñ
junun-e-shauq ki sar-gardiyan kahan tak hain
fareb-e-husn teri bastiyan kahan tak hain
kisi ki yaad hai dil mein na koi aks-e-jamil
zahe-nasib ye mahrumiyan kahan tak hain
kaThin hai zabt kahe to hai KHauf-e-ruswai
dil-e-gharib ki majburiyan kahan tak hain
use ye shauq sahaara ho umr bhar mera
mujhe ye fikr ye hamdardiyan kahan tak hain
ye qahr-qahr nigahen ye zahr-zahr suKHan
main sochta hun teri talKHiyan kahan tak hain
labon pe git wafa ke dilon mein bughz-o-inad
uruj-e-dahr ki ye pastiyan kahan tak hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.