Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun-e-shauq meri hasraton se kam kyon ho

Majeed kham Ganwi

junun-e-shauq meri hasraton se kam kyon ho

Majeed kham Ganwi

MORE BYMajeed kham Ganwi

    junūn-e-shauq mirī hasratoñ se kam kyoñ ho

    vafā raah meñ ye laġhzish-e-qadam kyoñ ho

    kisī chashm be-āb hai to nam kyoñ ho

    nahīñ hai lazzat-e-ehsās-e-ġham to ġham kyoñ ho

    kamāl-e-husn haiñ rusvā.iyāñ mohabbat

    rahīn-e-bul-havasī ishq bharam kyoñ ho

    sitam-rasīda-e-daurāñ bahut haiñ duniyā meñ

    mire haal pe ye bārish-e-karam kyoñ ho

    hazār ḳhūgar-e-ijz-o-niyāz huuñ lekin

    sar-e-niyāz har ik āstāñ pe ḳham kyoñ ho

    ba-qadr-e-zauq-e-talab mai atā ho rindoñ ko

    ye mai-kada hai yahāñ rasm-e-besh-o-kam kyoñ ho

    har ek chehra-e-gul-rang par khilā huuñ 'majīd'

    to phir lahū se mirī dāstāñ raqam kyoñ ho

    junun-e-shauq meri hasraton se kam kyon ho

    wafa ki rah mein ye laghzish-e-qadam kyon ho

    kisi ki chashm hi be-ab hai to nam kyon ho

    nahin hai lazzat-e-ehsas-e-gham to gham kyon ho

    kamal-e-husn hain ruswaiyan mohabbat ki

    rahin-e-bul-hawasi ishq ka bharam kyon ho

    sitam-rasida-e-dauran bahut hain duniya mein

    mere hi haal pe ye barish-e-karam kyon ho

    hazar KHugar-e-ijz-o-niyaz hun lekin

    sar-e-niyaz har ek aastan pe KHam kyon ho

    ba-qadr-e-zauq-e-talab mai ata ho rindon ko

    ye mai-kada hai yahan rasm-e-besh-o-kam kyon ho

    har ek chehra-e-gul-rang par khila hun 'majid'

    to phir lahu se meri dastan raqam kyon ho

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now