junūñ hī ke alam-bardār the ham
so duniyā ke liye bekār the ham
kisī kī raah meñ haa.el hue the
kisī ko sāya-e-dīvār the ham
pahuñch meñ the hamārī chāñd sūraj
magar jugnū ke pairokār the ham
hameñ taqrīr karnā bhī thā lāzim
aur us par sāhib-e-kirdār the ham
baġhāvat to hamāre ḳhuun meñ thī
ki ik jur.at kī paidāvār the ham
azān-e-ishq hotī thī jahāñ se
usī masjid kī ik mīnār the ham
tirī qurbat hameñ hāsil nahīñ thī
tirī furqat ke to haqdār the ham
muḳhālif ho ga.e nārāz to kyā
natīje ke liye tayyār the ham
junun hi ke alam-bardar the hum
so duniya ke liye bekar the hum
kisi ki rah mein hael hue the
kisi ko saya-e-diwar the hum
pahunch mein the hamari chand suraj
magar jugnu ke pairokar the hum
hamein taqrir karna bhi tha lazim
aur us par sahib-e-kirdar the hum
baghawat to hamare KHun mein thi
ki ek jurat ki paidawar the hum
azan-e-ishq hoti thi jahan se
usi masjid ki ek minar the hum
teri qurbat hamein hasil nahin thi
teri furqat ke to haqdar the hum
muKHalif ho gae naraaz to kya
natije ke liye tayyar the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.