junun josh-e-amal hai kar naya is mein asar paida
junun josh-e-amal hai kar naya is mein asar paida
Wajahat Ali Sandailvi
MORE BYWajahat Ali Sandailvi
junūñ josh-e-amal hai kar nayā is meñ asar paidā
na.e farhād-o-teshe hoñ na.e koh-o-kamar paidā
ba-juz ilm-o-yaqīñ hotī nahīñ fikr-o-nazar paidā
kahāñ Thahre hue paanī meñ hotī hai lahar paidā
riyāz-o-saḳht-koshī ne kiye haiñ dīda-var paidā
sadaf ḳhūn-e-jigar se apne kartī hai guhar paidā
jahālat ke uTheñ parde to ho ilm-o-hunar paidā
qabā ho chaak zulmat kī to ho nūr-e-sahar paidā
qadam uThThā to phir hone lage ḳhud ham-safar paidā
kiye phir dasht-o-sahrā ne hazāroñ rahguzar paidā
tū hī raḳht-e-safar ko bāñdh kar aage nahīñ baḌhtā
zamāna roz kartā hai na.ī dekho sahar paidā
hameñ bardāsht karnā haiñ kahāñ tak zulmateñ aisī
chalo apne kareñ ham ab na.e shams-o-qamar paidā
chaTānoñ se jo Takrā kar nayā rasta banātā hai
kabhī aisā bhī hotā hai koī āshufta-sar paidā
koī suntā nahīñ hai nāla-o-shevan asīroñ kā
jo himmat ho to kar dīvār-e-zindāñ meñ tū dar paidā
agar ḳhūn-e-jigar se ābyārī kar sako yaaro
hue haiñ ḳhushk shāḳhoñ se bhī ġhunche aur samar paidā
sukūt-e-lāla-o-gul se rahe sunsān vo kitne
sadā-e-tesha ne kī raunaq-e-koh-o-kamar paidā
baḌī thī ḳhvāb-āvar vo fazā apne aqīdoñ kī
huā hai be-yaqīnī se nayā saudā-e-sar paidā
bahāreñ rang-o-bū ke tajziye se ab pareshāñ haiñ
chaman meñ ho ga.e haiñ aaj kitne dīda-var paidā
junun josh-e-amal hai kar naya is mein asar paida
nae farhad-o-teshe hon nae koh-o-kamar paida
ba-juz ilm-o-yaqin hoti nahin fikr-o-nazar paida
kahan Thahre hue pani mein hoti hai lahar paida
riyaz-o-saKHt-koshi ne kiye hain dida-war paida
sadaf KHun-e-jigar se apne karti hai guhar paida
jahaalat ke uThen parde to ho ilm-o-hunar paida
qaba ho chaak zulmat ki to ho nur-e-sahar paida
qadam uThTha to phir hone lage KHud ham-safar paida
kiye phir dasht-o-sahra ne hazaron rahguzar paida
tu hi raKHt-e-safar ko bandh kar aage nahin baDhta
zamana roz karta hai nai dekho sahar paida
hamein bardasht karna hain kahan tak zulmaten aisi
chalo apne karen hum ab nae shams-o-qamar paida
chaTanon se jo Takra kar naya rasta banata hai
kabhi aisa bhi hota hai koi aashufta-sar paida
koi sunta nahin hai nala-o-shewan asiron ka
jo himmat ho to kar diwar-e-zindan mein tu dar paida
agar KHun-e-jigar se aabyari kar sako yaro
hue hain KHushk shaKHon se bhi ghunche aur samar paida
sukut-e-lala-o-gul se rahe sunsan wo kitne
sada-e-tesha ne ki raunaq-e-koh-o-kamar paida
baDi thi KHwab-awar wo faza apne aqidon ki
hua hai be-yaqini se naya sauda-e-sar paida
bahaaren rang-o-bu ke tajziye se ab pareshan hain
chaman mein ho gae hain aaj kitne dida-war paida
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.