junun ka zikr mera aam ho gaya to kya
junūñ kā zikr mirā 'aam ho gayā to kyā
maiñ tere shahr meñ badnām ho gayā to kyā
koī usuul mirā matmah-e-nazar to rahā
shahīd-e-hasrat-e-nākām ho gayā to kyā
jahāñ ne kis ko sazāvār-e-āgahī jaanā
jo maiñ bhī morid-e-ilzām ho gayā to kyā
koī salīb pe laTkā kisī ne zahr piyā
mirā bhī gar yahī anjām ho gayā to kyā
hazār sham.eñ jalā kar ziyā bikher gayā
ḳhamosh maiñ jo sar-e-shām ho gayā to kyā
harīf-e-gardish-e-ayyām to rahā barsoñ
maiñ aaj kushta-e-ālām ho gayā to kyā
junun ka zikr mera 'am ho gaya to kya
main tere shahr mein badnam ho gaya to kya
koi usul mera matmah-e-nazar to raha
shahid-e-hasrat-e-nakaam ho gaya to kya
jahan ne kis ko sazawar-e-agahi jaana
jo main bhi morid-e-ilzam ho gaya to kya
koi salib pe laTka kisi ne zahr piya
mera bhi gar yahi anjam ho gaya to kya
hazar shamen jala kar ziya bikher gaya
KHamosh main jo sar-e-sham ho gaya to kya
harif-e-gardish-e-ayyam to raha barson
main aaj kushta-e-alam ho gaya to kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.