junun karta hai din-raat paemal mujhe
junūn kartā hai din-rāt pā.emāl mujhe
havā-e-shahr mire dasht se nikāl mujhe
banā ke bhuul gayā naqsh pichhle chehroñ kā
phir ek shakl kā aane lagā ḳhayāl mujhe
badan ke saa.e ko dil ke qarīb dekhtā huuñ
ye aaj kis se bichhaḌne kā hai malāl mujhe
chalā rahā huuñ kirā.e pe aas kī kashtī
kabhī to Dālne de pāniyoñ meñ jaal mujhe
sar-e-mahāz mayassar huī hai dildārī
mire ġhanīm batāte haiñ merā haal mujhe
junun karta hai din-raat paemal mujhe
hawa-e-shahr mere dasht se nikal mujhe
bana ke bhul gaya naqsh pichhle chehron ka
phir ek shakl ka aane laga KHayal mujhe
badan ke sae ko dil ke qarib dekhta hun
ye aaj kis se bichhaDne ka hai malal mujhe
chala raha hun kirae pe aas ki kashti
kabhi to Dalne de paniyon mein jal mujhe
sar-e-mahaz mayassar hui hai dildari
mere ghanim batate hain mera haal mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.