junun ke ahd mein aawara ku-ba-ku hona
junūñ ke ahd meñ āvāra kū-ba-kū honā
baġhair mushk ke sāñsoñ kā mushk-bū honā
usī ne chāhā nigāhoñ ke rū-ba-rū honā
vagarna sahl na thā us se guftugū honā
abā qabā ke liye to ye baat mumkin hai
jigar ke chaak kā mumkin nahīñ rafū honā
na jaane kab se hai hairat-zada banā.e hue
us ek sū kā nigāhoñ meñ chaar sū honā
tulūa honā ufuq par mah-e-visāl sā kuchh
tire badan kā sar-e-shām rañg-o-bū honā
jahāñ jahāñ se nikal kar ye barq girtī hai
vahāñ vahāñ hai ye chāk-e-falak rafū honā
thakan malāl udāsī safar kī nākāmī
ye ho qubūl to sargarm-e-justujū honā
maiñ apnā ḳhuun diye jā rahā huuñ duniyā ko
ab is ke baad shafaq ko hai suraḳh-rū honā
shab-e-firāq ne āsān kar diyā 'iqbāl'
hamāre ashk kā jugnū ke rū-ba-rū honā
junun ke ahd mein aawara ku-ba-ku hona
baghair mushk ke sanson ka mushk-bu hona
usi ne chaha nigahon ke ru-ba-ru hona
wagarna sahl na tha us se guftugu hona
aba qaba ke liye to ye baat mumkin hai
jigar ke chaak ka mumkin nahin rafu hona
na jaane kab se hai hairat-zada banae hue
us ek su ka nigahon mein chaar su hona
tulua hona ufuq par mah-e-visal sa kuchh
tere badan ka sar-e-sham rang-o-bu hona
jahan jahan se nikal kar ye barq girti hai
wahan wahan hai ye chaak-e-falak rafu hona
thakan malal udasi safar ki nakaami
ye ho qubul to sargarm-e-justuju hona
main apna KHun diye ja raha hun duniya ko
ab is ke baad shafaq ko hai suraKH-ru hona
shab-e-firaq ne aasan kar diya 'iqbaal'
hamare ashk ka jugnu ke ru-ba-ru hona
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 537)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.