junun ke dasht mein niklen wafa ki had kar den
junūñ ke dasht meñ nikleñ vafā kī had kar deñ
uThā ke eḌiyāñ apnī darāz qad kar deñ
mohabbatoñ ke chaman phir se lahlahā.eñge
ye nafratoñ ke sabhī baab qaid-e-had kar deñ
tumhāre hijr ke mausam jinheñ mayassar huuñ
vo barg-o-bar kī bahāroñ ko mustarad kar deñ
jo ehtimām-e-baġhāvat kā pesh-ḳhema huuñ
ḳhulūs-e-dil se vo zulmat ke baab sad kar deñ
nigāh-e-nāz se dekheñ to bahr-e-āzādī
qafas ke saare parindoñ ko nām-zad kar deñ
agar huuñ rishte ujāloñ se mo'atabar phir to
charāġh baḌh ke añdheroñ kī ḳhud madad kar deñ
hamāre shahr meñ aise bhī log haiñ 'anjum'
vo jis ko dekh leñ us ko hī mustanad kar deñ
junun ke dasht mein niklen wafa ki had kar den
uTha ke eDiyan apni daraaz qad kar den
mohabbaton ke chaman phir se lahlahaenge
ye nafraton ke sabhi bab qaid-e-had kar den
tumhaare hijr ke mausam jinhen mayassar hun
wo barg-o-bar ki bahaaron ko mustarad kar den
jo ehtimam-e-baghawat ka pesh-KHema hun
KHulus-e-dil se wo zulmat ke bab sad kar den
nigah-e-naz se dekhen to bahr-e-azadi
qafas ke sare parindon ko nam-zad kar den
agar hun rishte ujalon se mo'atabar phir to
charagh baDh ke andheron ki KHud madad kar den
hamare shahr mein aise bhi log hain 'anjum'
wo jis ko dekh len us ko hi mustanad kar den
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.