junun ke shauq mein yun mahw-e-ashiqi na rahe
junūñ ke shauq meñ yuuñ mahv-e-āshiqī na rahe
ki mere bas meñ ye merī hī zindagī na rahe
lahū bhī apnī ragoñ kā charāġh meñ Daalo
havā jahāñ bhī chalegī yuuñ sar-phirī na rahe
kamāl fan meñ na itnā bhī de mire mālik
ki mere ishq ke lahje meñ ājizī na rahe
ye soch kar hī to maiñ jald lauT aaya huuñ
tū intizār kare aur jāgtī na rahe
junun ke shauq mein yun mahw-e-ashiqi na rahe
ki mere bas mein ye meri hi zindagi na rahe
lahu bhi apni ragon ka charagh mein Dalo
hawa jahan bhi chalegi yun sar-phiri na rahe
kamal fan mein na itna bhi de mere malik
ki mere ishq ke lahje mein aajizi na rahe
ye soch kar hi to main jald lauT aaya hun
tu intizar kare aur jagti na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.