junun ki dhup rahegi abhi zamane tak
junūñ kī dhuup rahegī abhī zamāne tak
zamīn-e-ḳhvāb-o-ḳhayālāñ ke rasmasāne tak
dinoñ meñ ḳhvāb hamīñ dekhte the dīvāne
ḳhud apnī piiTh hamīñ laa.e tāziyāne tak
phir ek ḳhvāb ne rastā hamārā rok liyā
pahuñchne vaale the ham niiñd ke ḳhazāne tak
ye kis ke ḳhvāb hamārī palak pe rakkhe haiñ
ye kis ne niiñd utārī hamāre shāne tak
ye ḳhvāb dekhnā mujh ko bahut zarūrī hai
maiñ jāgne kā nahīñ maut ke jagāne tak
junun ki dhup rahegi abhi zamane tak
zamin-e-KHwab-o-KHayalan ke rasmasane tak
dinon mein KHwab hamin dekhte the diwane
KHud apni piTh hamin lae taziyane tak
phir ek KHwab ne rasta hamara rok liya
pahunchne wale the hum nind ke KHazane tak
ye kis ke KHwab hamari palak pe rakkhe hain
ye kis ne nind utari hamare shane tak
ye KHwab dekhna mujh ko bahut zaruri hai
main jagne ka nahin maut ke jagane tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.