junun ki hadon se guzarna nahin hai
junūñ kī hadoñ se guzarnā nahīñ hai
mohabbat meñ jiinā hai marnā nahīñ hai
hamāre muqaddar meñ jab tum nahīñ to
kisī ke liye ab sañvarnā nahīñ hai
mujhe sirf tum dekh sakte ho lekin
gunāhoñ kī tah meñ utarnā nahīñ hai
mujhe tum khilaunā samajhte ho samjho
mujhe TuuT kar ab bikharnā nahīñ hai
ye tai kar liyā hai kisī haal meñ bhī
tamannāoñ kā ḳhuun karnā nahīñ hai
maiñ jis kī huuñ us kī rahūñgī hamesha
kisī aur par mujh ko marnā nahīñ hai
'anā' maiñ to bahtī huī ik nadī huuñ
kisī ke liye bhī Thaharnā nahīñ hai
junun ki hadon se guzarna nahin hai
mohabbat mein jina hai marna nahin hai
hamare muqaddar mein jab tum nahin to
kisi ke liye ab sanwarna nahin hai
mujhe sirf tum dekh sakte ho lekin
gunahon ki tah mein utarna nahin hai
mujhe tum khilauna samajhte ho samjho
mujhe TuT kar ab bikharna nahin hai
ye tai kar liya hai kisi haal mein bhi
tamannaon ka KHun karna nahin hai
main jis ki hun us ki rahungi hamesha
kisi aur par mujh ko marna nahin hai
'ana' main to bahti hui ek nadi hun
kisi ke liye bhi Thaharna nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.