junun ki qimat chuka rahe hain
junūñ kī qīmat chukā rahe haiñ
ḳhayāl ke par kaTā rahe haiñ
vajūd ke sad-hazār purze
fazā-e-kun meñ uḌā rahe haiñ
mirā hī dil be-yaqīñ hai varna
sabhī chaḌhāve chaḌhā rahe haiñ
zamīñ ko dozaḳh banā ke mullā
ḳhayālī jannat sajā rahe haiñ
ghumā ke Dorī meñ chand daane
ḳhudā pe ehsāñ jatā rahe haiñ
balī chaḌhā ke ye ḳhush-‘aqīda
ḳhayālī paikar manā rahe haiñ
vo aa.ine se ḳhafā haiñ baiThe
jo 'aib mere ginā rahe haiñ
thapak ke derīna vasvasoñ ko
na.e tavahhum satā rahe haiñ
ab in samājoñ ko raakh kar do
jo aarzū kī chitā rahe haiñ
bahisht se nikle ḳhāk-zāde
zamīñ kī raunaq baḌhā rahe haiñ
ik aan kī laaj meñ ham aise
nibhā rahe the nibhā rahe haiñ
junun ki qimat chuka rahe hain
KHayal ke par kaTa rahe hain
wajud ke sad-hazar purze
faza-e-kun mein uDa rahe hain
mera hi dil be-yaqin hai warna
sabhi chaDhawe chaDha rahe hain
zamin ko dozaKH bana ke mulla
KHayali jannat saja rahe hain
ghuma ke Dori mein chand dane
KHuda pe ehsan jata rahe hain
bali chaDha ke ye KHush-‘aqida
KHayali paikar mana rahe hain
wo aaine se KHafa hain baiThe
jo 'aib mere gina rahe hain
thapak ke derina waswason ko
nae tawahhum sata rahe hain
ab in samajon ko rakh kar do
jo aarzu ki chita rahe hain
bahisht se nikle KHak-zade
zamin ki raunaq baDha rahe hain
ek aan ki laj mein hum aise
nibha rahe the nibha rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.