junun ki sarparasti chahti hai
junūñ kī sarparastī chāhtī hai
baġhāvat ab bulandī chāhtī hai
bhulā kar farq sab achchhe bure kā
ye duniyā bas taraqqī chāhtī hai
mareñ hindū musalmāñ būḌhe bachche
siyāsat sirf kursī chāhtī hai
takabbur nā-gavārī kā sabab hai
ibādat ājizī bhī chāhtī hai
faqat va.adoñ se ye bujhtī nahīñ hai
shikam kī aag roTī chāhtī hai
ye chingārī siyāsat kī vatan meñ
tabāhī hī tabāhī chāhtī hai
use 'mashkūr' hai merī tamannā
magar sab kī vo marzī chāhtī hai
junun ki sarparasti chahti hai
baghawat ab bulandi chahti hai
bhula kar farq sab achchhe bure ka
ye duniya bas taraqqi chahti hai
maren hindu musalman buDhe bachche
siyasat sirf kursi chahti hai
takabbur na-gawari ka sabab hai
ibaadat aajizi bhi chahti hai
faqat wadon se ye bujhti nahin hai
shikam ki aag roTi chahti hai
ye chingari siyasat ki watan mein
tabahi hi tabahi chahti hai
use 'mashkur' hai meri tamanna
magar sab ki wo marzi chahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.