junun mein hum rah-e-KHauf-e-KHatar se guzre hain
junūñ meñ ham rah-e-ḳhauf-e-ḳhatar se guzre haiñ
jidhar se koī na guzre udhar se guzre haiñ
saf-e-salīb jahāñ intizār kartī thī
masīh-e-vaqt usī rahguzar se guzre haiñ
maiñ Duub Duub ke ubhrā huuñ har talātum se
hazār sail-e-ravāñ mere sar se guzre haiñ
jo kal the baiThe hue gesuoñ ke saa.e meñ
vo aaj taptī huī rahguzar se guzre haiñ
sukūt-e-shām meñ yādoñ ke kārvāñ 'māhir'
dil-e-tabāh ke ujḌe nagar se guzre haiñ
junun mein hum rah-e-KHauf-e-KHatar se guzre hain
jidhar se koi na guzre udhar se guzre hain
saf-e-salib jahan intizar karti thi
masih-e-waqt usi rahguzar se guzre hain
main Dub Dub ke ubhra hun har talatum se
hazar sail-e-rawan mere sar se guzre hain
jo kal the baiThe hue gesuon ke sae mein
wo aaj tapti hui rahguzar se guzre hain
sukut-e-sham mein yaadon ke karwan 'mahir'
dil-e-tabah ke ujDe nagar se guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.