junun mera be-hisab hai kya
junūñ mirā be-hisāb hai kyā
maiñ dekhūñ terā 'itāb hai kyā
mujhe nigāhoñ se paḌh rahe ho
vujūd merā kitāb hai kyā
hamāre atrāf titliyāñ haiñ
hamārā lahja gulāb hai kyā
yahāñ ke pokhar khañgālte ho
samundaroñ kā hisāb hai kyā
jo zulm karnā gunāh Thahrā
to zulm sahnā savāb hai kyā
haqīr nazroñ se ham ko dekho
tumhārī āñkhoñ meñ taab hai kyā
maiñ sochā kartā huuñ ḳhalvatoñ meñ
vo dastaras dastyāb hai kyā
phir aane vaalī haiñ bārisheñ bhī
hamāre chhappar meñ taab hai kyā
fazā meñ ik ḳhāmushī hai taarī
phir aane ko inqalāb hai kyā
kyoñ itne likes mil rahe haiñ
ġhazal mirī lā-javāb hai kyā
junun mera be-hisab hai kya
main dekhun tera 'itab hai kya
mujhe nigahon se paDh rahe ho
wujud mera kitab hai kya
hamare atraf titliyan hain
hamara lahja gulab hai kya
yahan ke pokhar khangalte ho
samundaron ka hisab hai kya
jo zulm karna gunah Thahra
to zulm sahna sawab hai kya
haqir nazron se hum ko dekho
tumhaari aankhon mein tab hai kya
main socha karta hun KHalwaton mein
wo dastaras dastyab hai kya
phir aane wali hain barishen bhi
hamare chhappar mein tab hai kya
faza mein ek KHamushi hai tari
phir aane ko inqalab hai kya
kyon itne likes mil rahe hain
ghazal meri la-jawab hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.