junun ne zahr ka pyala piya aahista aahista
junūñ ne zahr kā pyāla piyā āhista āhista
ye sho'la raakh meñ Dhalne lagā āhista āhista
bahut nāzuk haiñ ehsāsāt ham armāñ-parastoñ ke
na ham ko Thes lag jaa.e sabā āhista āhista
bajā sāz-e-vafā lekin zarā dhīme bajā mutrib
bapā hai hashr sā dil meñ sadā āhista āhista
ḳhushī kā ek ek lamha ḳhirāj-e-zīst le legā
ye dil ke TūTne kā silsila āhista āhista
ye kaisā moḌ hai behis zamāna-sāz yā qātil
sulagtī hai tamannā kī chitā āhista āhista
junun ne zahr ka pyala piya aahista aahista
ye sho'la rakh mein Dhalne laga aahista aahista
bahut nazuk hain ehsasat hum arman-paraston ke
na hum ko Thes lag jae saba aahista aahista
baja saz-e-wafa lekin zara dhime baja mutrib
bapa hai hashr sa dil mein sada aahista aahista
KHushi ka ek ek lamha KHiraj-e-zist le lega
ye dil ke TuTne ka silsila aahista aahista
ye kaisa moD hai behis zamana-saz ya qatil
sulagti hai tamanna ki chita aahista aahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.