junun-o-shauq ka ye silsila chale na chale
junūn-o-shauq kā ye silsila chale na chale
hamāre baa'd hamārī navā chale na chale
hamāre ishq meñ phir hausla rahe na rahe
phir itne josh meñ mauj-e-balā chale na chale
tumhārī yaad se ḳhushbū uThegī har pahlū
charāġh jaltā rahegā havā chale na chale
gumāñ bhī guzrā jo dil meñ to Dar sā lagtā hai
sitam ke daur meñ rasm-e-vafā chale na chale
rahegā saath meñ saaya qadam qadam chāhe
hamāre saath koī āshnā chale na chale
jhukī nigāh kā jaadū to chal hī jā.egā
'rafīq' aap kā shikva-gila chale na chale
junun-o-shauq ka ye silsila chale na chale
hamare ba'd hamari nawa chale na chale
hamare ishq mein phir hausla rahe na rahe
phir itne josh mein mauj-e-bala chale na chale
tumhaari yaad se KHushbu uThegi har pahlu
charagh jalta rahega hawa chale na chale
guman bhi guzra jo dil mein to Dar sa lagta hai
sitam ke daur mein rasm-e-wafa chale na chale
rahega sath mein saya qadam qadam chahe
hamare sath koi aashna chale na chale
jhuki nigah ka jadu to chal hi jaega
'rafiq' aap ka shikwa-gila chale na chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.