junun-parwarda dil se aagahi dekhi nahin jati
junun-parwarda dil se aagahi dekhi nahin jati
Prem Lal Shifa Dehlvi
MORE BYPrem Lal Shifa Dehlvi
junūñ-parvarda dil se āgahī dekhī nahīñ jaatī
ye zulfoñ meñ rahā hai raushnī dekhī nahīñ jaatī
maiñ dānista har ik bazm-e-tarab se duur rahtā huuñ
ki fart-e-ġham meñ auroñ kī ḳhushī dekhī nahīñ jaatī
ḳhudārā muskurā kar shaad kar do saarī mahfil ko
jahāñ tum ho vahāñ afsurdagī dekhī nahīñ jaatī
taġhāful chhoḌiye shān-e-karam par harf aatā hai
parastāroñ se itnī be-ruḳhī dekhī nahīñ jaatī
kisī dar par tumhāre dar kā saa.il haath phailā.e
mohabbat meñ ye daryūza-garī dekhī nahīñ jaatī
umañD aatī haiñ āñkheñ kyā mazāq-e-dīd ko ro.eñ
ki ab ham se tirī tasvīr bhī dekhī nahīñ jaatī
'shifā' nākām-e-ulfat ko sahārā koī kyā degā
shikasta dil pe duniyā kī hañsī dekhī nahīñ jaatī
junun-parwarda dil se aagahi dekhi nahin jati
ye zulfon mein raha hai raushni dekhi nahin jati
main danista har ek bazm-e-tarab se dur rahta hun
ki fart-e-gham mein auron ki KHushi dekhi nahin jati
KHudara muskura kar shad kar do sari mahfil ko
jahan tum ho wahan afsurdagi dekhi nahin jati
taghaful chhoDiye shan-e-karam par harf aata hai
parastaron se itni be-ruKHi dekhi nahin jati
kisi dar par tumhaare dar ka sail hath phailae
mohabbat mein ye daryuza-gari dekhi nahin jati
umanD aati hain aankhen kya mazaq-e-did ko roen
ki ab hum se teri taswir bhi dekhi nahin jati
'shifa' nakaam-e-ulfat ko sahaara koi kya dega
shikasta dil pe duniya ki hansi dekhi nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.