junun-pasand tabiat pe bar guzri hai
junūñ-pasand tabī.at pe baar guzrī hai
ḳhizāñ chaman se ba-rang-e-bahār guzrī hai
vo kis chaman kī bahār aaj haiñ ḳhudā jaane
bahār jin ke liye be-qarār guzrī hai
har ek phuul kā dāman jo aaya chaak nazar
nasīm-e-sub.h-e-chaman sharmsār guzrī hai
ik aisā vaqt bhī aayā ġham-e-mohabbat meñ
ki un kī baat mujhe nāgavār guzrī hai
ginegā koī na ehsān ashk-e-shabnam kā
ye tāzgī bhī gulistāñ pe baar guzrī hai
junun-pasand tabiat pe bar guzri hai
KHizan chaman se ba-rang-e-bahaar guzri hai
wo kis chaman ki bahaar aaj hain KHuda jaane
bahaar jin ke liye be-qarar guzri hai
har ek phul ka daman jo aaya chaak nazar
nasim-e-subh-e-chaman sharmsar guzri hai
ek aisa waqt bhi aaya gham-e-mohabbat mein
ki un ki baat mujhe nagawar guzri hai
ginega koi na ehsan ashk-e-shabnam ka
ye tazgi bhi gulistan pe bar guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.