junun salamat to apni Thokar mein ye zamin bhi wo aasman bhi
junun salamat to apni Thokar mein ye zamin bhi wo aasman bhi
Hasan Jafari
MORE BYHasan Jafari
junūñ salāmat to apnī Thokar meñ ye zamīñ bhī vo āsmāñ bhī
hamāre azm-e-safar kī zad meñ haiñ māh-o-anjum bhī kahkashāñ bhī
hamārī nazroñ meñ bārgāh-e-sitam-shi.ārāñ kī kyā haqīqat
hamāre naqsh-e-qadam pe aa kar jhukegā ik roz āsmāñ bhī
udhar ufuq kī taraf numūd-e-sahar ke āsār jalva-gar haiñ
idhar fazā meñ siyāhiyoñ se ulajh rahī haiñ siyāhiyāñ bhī
ye rahnumāyān-e-asr-e-hāzir haiñ asl meñ rāhzan vatan ke
payām-e-amn-o-amāñ meñ in ke chhupī huī haiñ tabāhiyāñ bhī
junun salamat to apni Thokar mein ye zamin bhi wo aasman bhi
hamare azm-e-safar ki zad mein hain mah-o-anjum bhi kahkashan bhi
hamari nazron mein bargah-e-sitam-shiaran ki kya haqiqat
hamare naqsh-e-qadam pe aa kar jhukega ek roz aasman bhi
udhar ufuq ki taraf numud-e-sahar ke aasar jalwa-gar hain
idhar faza mein siyahiyon se ulajh rahi hain siyahiyan bhi
ye rahnumayan-e-asr-e-hazir hain asl mein rahzan watan ke
payam-e-amn-o-aman mein in ke chhupi hui hain tabahiyan bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.