junun sar se utar gaya hai
junūn sar se utar gayā hai
vajūd lekin bikhar gayā hai
bahut ḳhasāra hai āshiqī meñ
tamām ilm-o-hunar gayā hai
maiñ aur hī shaḳhs huuñ koī ab
jo shaḳhs pahle thā mar gayā hai
bahut kaḌā thā vo vaqt mujh par
vo vaqt lekin guzar gayā hai
'sirāj' ik ḳhush-mizāj chehra
mujhe udāsī se bhar gayā hai
junun sar se utar gaya hai
wajud lekin bikhar gaya hai
bahut KHasara hai aashiqi mein
tamam ilm-o-hunar gaya hai
main aur hi shaKHs hun koi ab
jo shaKHs pahle tha mar gaya hai
bahut kaDa tha wo waqt mujh par
wo waqt lekin guzar gaya hai
'siraj' ek KHush-mizaj chehra
mujhe udasi se bhar gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.